Tuesday, April 19, 2011

Poetry often used by Maulana Tariq Jamil is his bayans.

Jo laut ayen kuch kehna nahin ~ Bas dekhna unhey ghaur se
Inhey manzilon pe khabar hui ~ ke yeh rasta koi aur thaa


Baray shouq say sun raha tha zamana
Hum hi sogaye dastan kehtay kehtay


Tu idher udhar ki na baat ker
Yeh bata key kaflaa kiyun lutta
Mujhe rahzanoon se gilla nahin
Teri Rahbari ka swaal hai


Woh ravi k kenarey ik toota sa makan hai
Din ko b jahan shab ki siyahi saa saman hai
Kehtey hain k aramm gaa -e- noor jahan hai


Tuk hirs-o-hawa ko chhor main, mat des bades phire mara,
Qazzaq ajal ka loote hai, din raat baja kar naqqara;
Kya bidhiya, bhainsa, bel, shutar, kya goien, palla, sarbhara,
Kya gehun, chawal, moth, matar, kya aag, dhuan, kya angara,
Sab thath para rah jawega jab laad chalega banjara.
Gar tu hai lakhhi banjara, aur khep bhi teri bhari hai,
Ai ghafil; tujh se bhi charhta ik aur bara beopari hai,
Kya shakkar, misri, qand, giri, kya sambhar, meetha, khari hai,
Kya daakh, munaqqa, saunth, mirch, kya kesar, laung, supari hai,
Sab thath para rah jawega jab laad chalega banjara.
Tu bidhiya laade, bel bhare, jo purab pachhim jawega,
Ya sood barha kar lawega, ya tota, ghata, pawega,
Qazzaq ajal ka raste mein jab bhala mar girawega,
Dhan, daulat, naati, pota kya, ik kunba kaam na aawega,

Sab thath para rah jawega jab laad chalega banjara.

HUm khood taraashtey hain manazil kay sang e meel
hum wo nahi hain jin ko zamana bana gaaea

18 comments:

  1. Many thanks dear brother for these poems. May Allah bless you

    ReplyDelete
  2. yea i always wanted a collection of these since started listening to Maulana Tariq Jamil. Now i have it.............Thanks...............\\\\\\\\\greetings from Pune

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
  3. Jazak Allah Brother from inner soul.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. Aah na kar labou ko see ishq hai ye dillagi nahi seene pe teer khaye ja aagey qadam badhaye ja

    ReplyDelete
  6. Allah ap bhai ko is ka ajar.e.azeem de ameen :)

    ReplyDelete
  7. Idhar Aa Sitam Gar
    Aa Hunar Aazmayen
    Tu Teer Aazma
    Hum Jigar Aazmayen

    ReplyDelete
  8. tujhe kiyoN fikr hai aye gul dil-e-sad chak bulbul ki
    to apney pairhan k chaak to pehlay rafoo kar lay

    ReplyDelete
  9. kabi arsh par kabhi farsh par kbi un g gar kabi darbadar Gham e aahiqui tera shukriya may kahan kahan say guzar gaya

    ReplyDelete
  10. Nasha pila kar girana toh sabko ata hai..
    Maza toh tab hai...jab girte ko tham le sabhi..

    ReplyDelete
  11. Wo nabiyon me Rahamath laqab paane waala..
    Gareebon ka waali our yateemon ka moula ..

    ReplyDelete
  12. Bichhda kuch is kadar k rut hi badal gai 1 shaksh sare shar ko viaraan kar gaya

    Aah na kar labo ko si ishq he dil lagi nahi seene per teer khaye ja age qadam baday ja

    Dil ke fafole jal uthe seene ka daag se apne ghar ko aag lag gai ghar k chiraag se

    ReplyDelete
  13. i always wanted a collection of these since started listening to Maulana Tariq Jamil. Now i have it.............Thanks..
    JazakALLAH.
    PLZ share more molana's collection if you hav. JazakALLAH

    ReplyDelete
  14. Absolutely beautiful and appreciable.

    ReplyDelete
  15. Ki wafa tune toh hum tere hai💙

    ReplyDelete